Monday, July 6, 2026

Online Istikharah Fi Sabilillah: Har Mushkil Ka Rohani Hal

Zindagi mein bohot se aise moqe aate hain jab hum kisi ahem morr par khare hote hain aur samajh nahi aata ke kaun sa rasta ikhtiyar kiya jaye. Shadi ho, karobar ho, ya koi naya safar—her faisla hamari aane wali zindagi par gehra asar dalta hai. Aise halat mein humein rohani rahnumai ki sakht zarurat hoti hai, aur isi rahnumai ko haasil karne ka sab se behtareen zariya Istikharah hai.

Istikharah Kya Hota Hai?

Istikharah dar asal kisi bhi kaam ko karnay say pahlay rohani rahnumai aur Allah pak ki raza hasil karnay ko kahtay hein. Iska aasan lafzon mein matlab hai "khair maangna". Jab aap kisi faisle mein ulajh jayein, toh Istikharah ke zariye aap Allah se hidayat maangte hain ke jo rasta aap ke liye behtar hai, us taraf aap ki rahnumai farmai jaye.

Istikharah Kyun Zaroori Hai?

Hum insan honay kay natay kamzor hein aur hamara ilm bohot mehdood hai. Bohat say aisay muamlat hotay hein jin ka hamein nahi pata hota kah future mein kiya ho ga. Ek faisla jo aaj humein bohot faydemand nazar aa raha hota hai, ho sakta hai aane wale waqt mein wo hamare liye nuksan-deh sabit ho. Is liye zindagi ka koi bhi bada faisla karne se pehle istikharah zarur karna chahiye, kyun ke yah hamein future ki rahnumai deta hay aur aane wali pareshaniyon se bachata hai.

Istikharah Khud Karen Ya Kisi Aur Say Karwaein?

Aam tor par log samajhte hain ke Istikharah har banda khud ba-asani kar sakta hai, lekin haqeeqat yeh hai ke istikharah kisi mahir say karwana bahtar hota hay. Is ki sab se badi wajah yeh hai ke istikharah karnay kay baad jo khawab aata hay ya jo ishara milta hai, us ko samjhna har kisi kay bas ki baat nahi hoti. Khwabon ke mukhtalif rang, usool, aur rohani nishaniyan hoti hain. Agar khawab ki tabeer hi sahi na nikali tou nateeja bhi ghalat niklay ga, jis se aap ka faisla ghalat ho sakta hai. Is liye istikharah hamesha us shakhs se karwaein jo na sirf rohaniat ka ilm rakhta ho, balkay khwabon ki tabeer bhi sahi tarha janta ho.

Aaj Hi Rabta Karein — Bilkul Free (Fi Sabilillah)

Agar aap apni shadi, dukan, naukri, ya kisi bhi dushwar faisle ke liye pareshan hain aur sahi rasta dhoond rahe hain, toh mazeed dair mat karein. Aaj hi online istikharah fi sabilillah karwanay kay liye hamaray spiritual scholar janab Peer Syed Abbas Kazmi sahab say rabta karen aur apni mushkilat ka rohani hal payein.

Zaroori Note: Istikharah karwanay ki koi fees nahi hay. Yeh khidmat bilkul Fi Sabilillah (Allah ki raza ke liye) muft sar-anjaam di jaati hai taake har pareshan haal banda baghair kisi bojh ke rohani sukoon haasil kar sake.

No comments:

Post a Comment

Talaq Kay Maslay Ka Hal: Ghar Basein Aur Rishton Ko Tootne Se Bachayein

Shadi do dilon aur do khandanon ka aik aesa pakiza bandhan hota hai jo mohabbat aur bharose par qaim hota hai. Shadi kay sharu mein sab the...

Chat on WhatsApp